Pages

Showing posts with label ROMANTIC SHAYARI SMS MESSAGES. Show all posts
Showing posts with label ROMANTIC SHAYARI SMS MESSAGES. Show all posts

Saturday, 2 July 2011

ROMANTIC SHAYARI

Rakhta hay wo mujhay tham k girnay nahi deta,
main toot bhi jao par bikharnay nahin deta,
is dar say kahen kanta nahi chib jaye hath may,
Wo Phol bhi myjh ko pakarnay nahi deta,
Wo is qadar hassas hay mohabbat may mer,
Koi gham meray sinay may palnay nahi deta,
Jis raat ki tariqi say ata hay mujhy khuf,
Us din ko phir raat may dhalny nahi deta..
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Uss shaks ko mera halka sa ehsas to hai,
Bedard hee sahi woh mera humraaz to hai,
Woh ayeega ik din meray pass wapis,
Jhoti hee sahi..Ik aas tu hai.
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Nigahen yaar ki tamanna ko machal baithe,
Bahkne wale the ki sambhal baithe,
Arman tha tujhe dastan-e-zindgi sunaoon,
Tum pass aaye to arman bhi nikal baithe.
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Khuda husn deta hai…Nazaakat aa he jaati hai,
Kadam ruk ruk ke chalet hain…kamar bal khaa he jaate hai..
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Koi na melay to kismat se ghila nhi krty!
akSr log mel kr bi mela nhi krty!
har shaakh par bahaar aati hy Zaror!
par har shaakh par phool khila nhi krty
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

wo tyra moskrana,
wo tyar srmana.
srma kr apny he ap main simmt jana,
wo tyra myre bahon main jolna,
wo tujy payar krna,
wo tyra jism chona,
wo tare chary ko apnay hathon main lyna,
wo hasien lamhay,
na bolon gha
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

“ABHI GHAR NA JANA”

Ye bikhri si zulfain ye phela sa kajal

Ye bechain ankhe ye simta sa anchal

Tere haal se log pehchan lein ge

Tujhe dekh k log mujhe jaan lein ge

Ye behky kadm larkharati jwani

Ye betab dil aur mohabt dewani

Shafak jasiay galon pe ubhri hoi hai

Mere honton ki ik Mehkti rawani

Tere jism se urrti meri ye khushboo

Suna degi har ek ko sari kahani

Na ban jae apna milan ek fasana

ABHI GHAR NA JANA

ABHI GHAR NA JANA..
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Zamane ko jalne do chalo ik sath chalte hain

Naie dunia basane ko chalo ik sath chalte hain

Hamain jivan ka har lamha tumhare naam krna hai

Yei waada nibhane ko chalo ik sath chalte hain

Suna hai mil k chalne se muqadr jaag uthte hain

Yei baat aazmane ko chalo ik sath chalte hain…
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Hum khushbu kay sodagar hain

Hum soda sacha kartay hain

Jo ghahak pholoon jaisa ho

Hum bin damoon bik jatay hain

Hum shehray wafa kay logoon ka

Tum bhala hal kya janoo

Hum dil ki baat chupatay hain

Aur ansoo tak pee jatay hain.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Na mila dil ka Qadardan is Zamane men

Ye Shisha Tut Gya Dekhne or Dikhane men

G MY Ata ha ek roz Shama Say Pochon

Maza kis main hai Jalne ya Jalaney Mein.
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Log kehty hain wo mujh se juda rehta hai,
Bun k Dharkan jo mary Dil me sada rehta hai,
Meri zaat mein shamil hai us ki hasti,
Jis terha sary zamanay mein KHUDA rehta hai.!!
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

‘KISI’ ko ‘PALKON’ Mein Na Basaao,

‘PALKON’ mein Sirf ‘SAPNE’ Baste Hain,

Agar Basaana hai to ‘DIL’ mein Basaao,

kyon ki ‘DIL’ mein Sirf ‘APNE’ Baste Hain.
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Wo mera hai us ka naam koi or na lay
In bheegti ankhon ka jaam koi or na lay
Kuch is liye b men ny uska hath na chora
Wo gir gaye to koi usy tham na lay..
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

meray dil main bi kuch kwahishain hain
mian bi bohut kuch teray naam pay sochna chahti hoon
aam bohut aam si lerki hoon
aur teray khwab jagti aankhoon say dekhna chahti hoon
main bi chahti hoon teray kuch lumhay faqt meray wastay hoon
aik ho manzil teray meray rastay hoon
kai baar main teay uthtay qadam rokna chahti hoon
bohut khamoshi hai kuch bolna chahti hoon
lakin
ik khuf terkay tualuk ka meray damangeer hai
meri aana meray kadmmon main peri zanjeer hai
kay khud ko kho ker kisi ko pana meri fitert nahi hai
bohut aam sahi main lakin yeh bi haisiiat nahi hai
kay khud ko kho to main ik lumha na jee paoon gi
tum gunnwah bi diya to chund din main behul jaoon gi
kay tum
chahat ho meri sherta.e. zindagi nahi ho
pehly kwahish ho mager aakhri nahi ho
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

jahan phoolon ko khilna tha wahin khilte to accha tha…
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha…
koi akar humse pooche ,tumhe kaise bhoolaya haan..
hazaar zakhum aise the agar silte to accha tha…
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha…
tumhain jitna bhoolaya hai tumhare yaad aae hai…

bahaar jo aae hai wohi khushboo hi lae hai…
tumhare lub agar meri khatir silte to accha tha…
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha…

mila hai lutf humko bhi haseen yadon ki jhilmil main…
kati hai zindagi tum binmagar itne see hai dil main…
agar atay to accha tha, agar milte to accha tha….
tumhi ko humne chaha tha, tumehe milte to accha tha…
.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Usko Chaha Bhi To Iqraar Na Karna Aaya
Kat Gayi Umr,
Hamein Pyar Na Karna Aaya
Usne Manga Bhi Agar Kuch Toh
Judai Mangi
Aur Ek Hum Thay Ke Inkaar Na Karna Aaya

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

khamosh raaho mien tera saath chahiye
tanha hai mera hath,tera haath chahiye

mujhko mere muqadar per itna yakeen too hai
tujhko bhi mere lafz, meri baat chahiye

mien khud apni shairi ko kiya acha kehta
mujhko teri tareef, teri daad chahiye

ehsaas-e-mohabbat tere waste hai lakin
junoon-e-ishk ko teri soghat chahiye

tu mujhko paane ki khuhaish rakhti ho lakin
jeene ke liye teri mulaakat chahiye!!!!.
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**

ROMANTIC SHAYARI

Udas udas rehte hain teray janay k baad,
khud ko dhundtay rehtay hain teray jane k baad,
Ik ajab si khushi hasal hoti hai hamein , Ik teray ane say pehle Ik teray jane k baad..
*~*~*~*~*~*~*~KANNADASMS.BLOGSPOT.COM~*~*~*~*~**~*~*~*~**